MERA DIL....





Mera Dil har ghadi har waqt tumko yaad karta hai,
Kabhi fariyaad karta hai, kabhi Bedaad karta hai...


Jo humse puch leta hai sabab koi udaasi ka,
Tumko kya batlaayein yeh dil kya kya rudaad karta hai,


Jahaan par baith kar hum dono ne khai thi kasmein,
Shazar wohi hai jispar baithkar fariyaad karta hai...


Andheron mein liye firta hai dil woh saawli soorat,
jiska ujaala "Varun", yeh dil aabaad karta hai.....




---------- ---------- ---------- ---------- ----------

Comments

Post a Comment

Popular Posts