WAISE TO TERE PYAAR MEIN.....
Waise to tere pyaar mein greftaar nahin hun,
Hun muntazir-e-deedaar, magar laachaar nahin hun,
be_shaq na tu samajh mujhe kaabil-e-gul-e-hasrat,
lekin mai rah_guzar pe pada khaar nahin hun...
Maana ke kar raha hun mai us shauk ka bayaan,
lekin ba_khuda mai gunehgaar nahin hun...
Seeta hun aansuon se iss chaak girebaan ko,
sochta hun ke ab kyun teri darkaar nahin hun,
Tu mujhse rakhta hai "Varun", zamaane bhar ke giley,
par tujhse khafaa mai mere sarkaar nahin hun...
---------- ---------- ---------- ---------- ----------
Tu mujhse rakhta hai "Varun", zamaane bhar ke giley,
ReplyDeletepar tujhse khafaa mai mere sarkaar nahin hun...
very nice.......