Zindagi khak na ban jaye Tamanna ki Tarah
Zindagi khak na ban jaye Tamanna ki Tarah,
Kuch to aisa karo, yadon mein raho khushbu ki Tarah.
Kar liya tumne gila hamse zamane bhar ka
Ab koi saaz bhi chhedo jo ho phulon ki Tarah.
Dil to dil hai, koi paththar nahin, sheesha bhi nahin,
Phir bhi Dhadkega jo chhu loge thokar ki Tarah,
Zindagi ek Hasrat ke siva aur bhala kya hai,
Tumko paane ke liye jeeta hun go marg ki Tarah.
Aarzu hai ke marasim hon mukarrar apne
Mere Hothon pe rahe tu, ek tabassum ki Tarah.
Zindagi
ReplyDelete