Kuch yun kiya hai tune
Kuch yun kiya hai tune mere dil mein thikana,
Jaise ek mauj ka Sahil pe ho aana jaana!
Karti hai teri yaad hamesha baatein mujhse,
Tasavvur mein bhi hota hai satana-manana!
Woh jo ek baar padi thin teri nazrein mujh par,
Pal bhar ke liye adu ho goya saara zamana!
Sochta hun ke kabhi mera khayal ho mukammal,
Abr ho, sharab ho, tum ho, daur-e-jaam ek bahana!
Chahta hun “Varun” ke din aaye koi aisa,
Pehlu mein mera tere chehre se zulfein hatana.
Waahh waahh👏
ReplyDeleteGazab. Har wakaya behat khubsurat hai aur meaning full
ReplyDelete