INN AANKHON MEIN AB NEEND KAHAAN, AE MAA...

Inn aankhon mein ab neend kahaan, ae maa,

Jo tum inn baalon ko sehlati to phir neend aati,
Do nivale tum jo khilati to phir neend aati,
Ab to bas so leta hun is pinjar ki tasalli ke liye,
Jo tum mujhe seene se lagati to phir neend aati...
Lekin ruh ko meri ab chain kahaan, ae maa,
Inn aankhon mein ab neend kahaan, ae maa.
Ungli pakad ke chalna sikhaya tumne mujhe,
Har ek gham mein bhi hasna sikhaya tumne mujhe,
Mai to mitti ka putla tha iss zamane mein ke,
Ek taraasha hua insaan banaya tumne mujhe,
Tujhse milne ki ab ummeed liye, ae maa,
Inn aankhon mein ab neend kahaan, ae maa.



---------- ---------- ---------- ---------- ----------

Comments

Post a Comment

Popular Posts